arTicleZ n Foto pAgE
     
MoHsiN'z HoMe

aBouT mE

FaVoriTe LinX

FoToZ(GeNraL)

WhaT's NeW

GuEsT Buk

DonT ConTacT mE

ArTicLeZ 'n PiX 1

ArTicLeZ 'n PiX 2

ArTicLeZ 'n PiX 3

FoToZ(HuMoRoUs)

ArTicLeZ 'n PiX 4

FoToZ(aNiMaTeD)

FoToZ(MaX)

FoToZ(4_KiDzZ)

FoToZ(4_TeeN AgErZ)

CaTaLoG_4_YoU

 

PubliSh youR own ArticlE with youR namE anD e-maiL aDDreSS hErE.
Want to Publish youR ArtiCle or pic wiD youR namE?
Mail me your article or pic with your personal information and that will be uploaded here,....I will not be responsible for furthur assistances between people and you after Uploading you personal inforamtion here.(Not Conditional)
(Mail me from contact page)

  A REPLY

This is the Reply of one of my friend GOT after propsing her cousine,.........he dreamed about her for many years,.......IN THE END,....he got it like....



slaamz,

yes i got ur email and from ur recent way of communication i think i gathered that u had some sort of feelings for me. however all i wanna say is dat my feelings towards u r different.infact i have no feelings for u at all. i only and always see u as ma cuzon equal 2 a brother.i am not at the age 2 mek such a big desicion for anyone. i have a whole life ahead of me dat i still need 2 live inshAllah. hence i do not want 2 marry you at all even if i am at age 2 mek such a desicion. so i think you shud jus move on and find sumonelse as im am not considering or accepting ur desicion. so i hope u accept my desicion 2 and well jus leave it dat.


{LOLzzzZZzzZZZzzZZzzz...}




YouR imaGe wiLL bE DispLayed HerE
 

YouR imaGe wiLL bE DispLayed HerE
  LIFE STYLE
as life gets your remand from the clutches of birth
the one thing it demands is obedience of its cues you must pay your dues a drop of smile costs a flood of tears a moment's sunshine,pays a life time of blues!


Poemz,...!


on special request.

raastoan ki marzee hei,...!


bezameen loagoan ko,...!
beqaraar aankhon ko,...!
budnaseeb qadmoan ko,...!
jiss taraf bhee ley jaaein,...!
raastoan ki marzee hei,...!
benishaan jazeeron per,...!
budgumaan shehroan mein,...!
bezubaan musaafir ko,...!
jiss taraf bhee bhatka dein,...!
roak lein ya barhney dein,...!
thaam lein ya girney dein,...!
wasal ki lakeeron ko,...!
kho dein ya milney dein,...!
rastoan ki marzee hei,...!
ajnabee koi laaker hamsafar bana dalein,...!
saath chalney waalon ki raakh bhee uraa daalein,...!
ya musaaftein saaree,...!
khaak mein mila dalein,...!
RAASTOAN KI MARZEE HEI,...!

kisi ki aankh jo purnamm nahi hai(Amjad Islam Amjad).




kisi ki aankh jo purnamm nahi hai
na samjho yeh keh ussko gham nahi hai,...!

sawad-e-dard mein tanhaa khara hoon
palat jaaoon magar mausam nahi hai,...!

samajh mein kuch naheen aata kisi ki
agarcheh guftagoo mubhim nahi hia,...!

sulagtaa kiyun nahi tareek jungle
talab ki law agar madham nahi hai,...!

ye bustee hai sitamm perwardagan ki
yahan koi kissi se kam nahi hai,...!

jo koi sun sakey Amjad to duniya
bajuz ik baazgasht-e-ghum nahi hai,...!


abhee to rutt badalnee thi

(Amjad Islam Amjad)
abhee to rutt badalnee thi
abhee to raat dhalnee thi,...!

abhee to sarzameen-e-jaan pe ik baadal ko ghirna tha
abhee to wasal ki baarish mein nangey paaon phirna tha,...!

abhee to kasht-e-ghum mein ik khushee ka khuwab bona tha
abhee to sainkaroan soachi huwee baatoan ko hona tha,...!
abhee to saahiloan pe ikk hawa-e-shad chalnee thi
abhee jo chal rahee hei,ye to kuch din baad chalnee thi,...!


Bhool ja,...!



kahan aa k ruktey they rastey,...kahan moar tha! usey bhool ja
woh jo mil geya usey yaad rukh,...jo nahi mila,...usey bhool ja

woh tere naseeb ki barishein,...kisi aur chut pe baras gyeen
dil-e-bekhabar meri baat sun,...usey bhool ja,...usey bhool ja

mein tou gum tha tere hi dheyaan mein,...teri aas,...tere gumaan mein
saba keh gyee mere kaan mein,...usey bhool ja,...usey bhool ja

kisi aankh mein nahi ashk-e-ghum,...tere baad kuch bhee nahi hai kam
tujhey zindagi ne bhula diya,...tu bhee muskura,...usey bhool ja

Kaheen chak-e-jaan ka rafu nahi,...kisi aasteen pe lahu nahi
keh shaheed-e-rahe malal ka nahi khoon baha,...usey bhool ja

kiyun ataa huwa hai ghubaar mein,...gham-e-zindagee k fishaar mein
woh jo darj tha tere bakht mein so woh ho geya,...usey bhool ja

na woh aankh hee teri aankh thee,...na woh khuaab hee tera khuab tha
dil-e-muntazir tou yeah kis liye tera jagna,...usey bhool ja

yeah jo raat din ka hai khail sa, isey deikh, is pe yaqeen na ker
nahi aks koi bhee mustaqil, sar-e-aaina,...usey bhool ja

tou yeah kis liyey shab-e-hijr k isey her sitarey mein dekhna
woh falak k jis pe miley they ham,koi aur tha,...usey bhool ja

tujhey chaand ban k mila tha jo, tere sahilon pe khila tha jo
woh tha aik dariya wisaal ka, so uter geya,...usey bhool ja

Bhool geya,...!


Hawa Kay zor pay Taqdeer Rakh kay bhool gaya,...!
Gayae dinno ki may tasweer rakh kay bhool gaya,...!

May bay-e-adab to nahi phir bhi puch leta hoon,...!
khuda kahan meri taqdeer rakh kay bhool gaya,...!

qamaan sambhaal kay rakhi to kya kamaal kia,...!
chirii jo jung, to kaheen teer rakh kay bhool gaya,...!

yeh rasm-e-ishq hai jogi bhi banna parta hai,...!
May uska naam 'heer' rakh kay bhool gaya,...!

yeh soch liya tha hum nay kay usay bholana hai,...!
May dil kay samnay tadbeer rakh kay bhool gaya,...!

bohat dino ki baat thi,...!

Bohat dino ki baat thi,...!
shabab per bahar thi,...!
fiza bhi khushgawar thi,...!
na jaane kioun machal para,...!
main apne ghar se chal para,...!
kisi ne mujh ko rok ker,...!
bari aada se tok ker,...!
kaha ke laut ayyee,...!
meri qasam na jayyee,...!
meri qasam na jayyee,...!
magar mujhe khabar na thi,...!
mahaul per nazar na thi,...!
na janey kioun machal para,...!
main apney ghar se chal para,...!
phir shehar se main aa gaya,...!
khayal tha ke paa gaya,...!
usey jo mujh se durr thi,...!
magar meri zaroor thi,...!
phir ik haseen shaam ko,...!
main chal para salam ko,...!
gali ka rang dekh ker,...!
naye tarang dekh ker,...!
mujhe bari khushi hui,...!
mujhe bari khushi hui,...!
main kuch isi khushi main tha,...!
kisi ne bahir jhank ker kaha,...!
paraye ghar se jayyee,...!
meri qasam na ayyee,...!
meri qasam na ayyee,...!
wohi haseen shaam hai,...!
bahar jis ka naam hai,...!
chala hoon ghar ko chor ker,...!
na janey jaoon ga kidhar,...!
koi nahin jo rok ker,...!
koi nahin jo tok ker,...!
kahay ke laut ayyee,...!
meri qasam na jayyee,...!
meri qasam na jayyee,...!

YAY JO RAG-E-DASHAT-E-FARAAQ HAI


(AMJAD ISLAAM AMJAD).
YAY JO RAG-E-DASHAT-E-FARAAQ HAI
YAY RUKAY AGAR...
YAY RUKAY AGAR TO NISHAAN MILLAY
K JO FASILOON KI SALEEB HAI
YAY GARRI HOI HAI KAHAAN KHAAN
MAIRRAY ASMAAN SAY KIDHER GAI
TARRAY ILTAFAAT KI KAHKASHAAN
MAIRRAY BAYKHABAR, MAIRRAY BAYNISHAAN
YAY RUKAY AGAR TO NISHAAN MILLAY
MAIN THAA KIS NAGAR, TUU RAHA KAHAAN
K ZAMAAN-O-MAKAAN KI WOSATAIN
TUJHAY DAYKHANAY KO TARRAS GAIN
WO TARAY NASEEB KI BARISHAIN
KISSI AUR CHATT PAY BARRAS GAIN
ISSI RAG-E-DASHAT-E-FARAAQ MAIN
RAHAY MUNTAZIR TARRAY MUNTAZIR
RAHI MAIRRAY HAAL SAY BAYKHABAR
TAYRRI RAHGUZAR
MAIRRI ARZOO HAI BAYKARAAR
MAIRRI ZINDIGI HAI MUKHTASIR
YAY JO RAG-E-DASHAT-E-FARAAQ HAI YAY RUKAY AGAR!


YouR imaGe wiLL bE DispLayed HerE
 
   
 

suBmiT uR arTicLeZ anD PiX HERE